Jannat ke darwaaze ko khol diye jaate hain Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain.

Bismillahirrahmanirrahim
💚Jannat ke darwaaze ko khol diye jaate hain Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain.
➊ Ramadhan mein Quran e Kareem ka nuzool:*
Allah Taala ka farmaan hai:
شَہۡرُ رَمَضَانَ الَّذِیۡۤ اُنۡزِلَ فِیۡہِ الۡقُرۡاٰنُ ہُدًی لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الۡہُدٰی وَ الۡفُرۡقَانِ ۚ فَمَنۡ شَہِدَ مِنۡکُمُ الشَّہۡرَ فَلۡیَصُمۡہُ ؕ وَ مَنۡ کَانَ مَرِیۡضًا اَوۡ عَلٰی سَفَرٍ فَعِدَّۃٌ مِّنۡ اَیَّامٍ اُخَرَ ؕ یُرِیۡدُ اللّٰہُ بِکُمُ الۡیُسۡرَ وَ لَا یُرِیۡدُ بِکُمُ الۡعُسۡرَ ۫ وَ لِتُکۡمِلُوا الۡعِدَّۃَ وَ لِتُکَبِّرُوا اللّٰہَ عَلٰی مَا ہَدٰىکُمۡ وَ لَعَلَّکُمۡ تَشۡکُرُوۡنَ ﴿۱۸۵﴾
📖Tarjumah:💚
Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki baraiyan biyan kero aur uss ka shukar kero.
📖Quran:Surah Al-Baqarah, Surah No(2) Ayat No(185)
💚Abu Hurairah Radiallahu anhu kahte hai ki”Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jab Ramadhan ka maheena aata hai to Jannat ke darwaaze ko khol diye jaate hain Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain
Aur Shayateen ko zanjeer main kas diya jata hain.
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Hindi.👇
💚अबू हुरैरा रदियल्लाहू अन्हो केहती है की रसूल-अल्लाह सल सल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाय जब रमजान का महीना आता है तो जन्नत के दरवाजे को खोल दिया जाता है” जहन्नम के दरवाजे बंद कर दिए जाते हैं और सयातीन को जंजीर में कस दिया जाता है।
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Urdu.👇
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب رمضان کا مہینہ آتا ہے تو جنت کے دروازے کھول دئیے جاتے ہیں۔ جہنم کے دروازے بند کر دئیے جاتے ہیں اور شیاطین کو زنجیروں میں کس دیا جاتا ہے۔“
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗English.👇
Narrated Abu Huraira: Allah’s Apostle said, When the month of Ramadan comes, the gates of Paradise are opened and the gates of the (Hell) Fire are closed, and the devils are chained.
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ بُكَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا اللَّيْثُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي عُقَيْلٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ شِهَابٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي ابْنُ أَبِي أَنَسٍ مَوْلَى التَّيْمِيِّينَ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ أَبَاهُ حَدَّثَهُ أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏يَقُولُ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ “”إِذَا دَخَلَ رَمَضَانُ فُتِّحَتْ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ وَغُلِّقَتْ أَبْوَابُ جَهَنَّمَ وَسُلْسِلَتِ الشَّيَاطِينُ””.
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)

15 Shaban ki Raat Ki haqeeqat” Shab e Barat Haqeeqa

Bismillahirrahmanirrahim

15 Shaban ki Raat Ki haqeeqat” Shab e Barat Haqeeqat

Shab e Barat” ki haqeeqat 

💚Baaz log Shaban ke Maheene Mein 15th Shaban Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai”Aur Unke Ulama Shab-e-Qadr Jaisi Fazilate Bayan Karte Hain, Aur Aqeeda Rakte hain Is Raat Infiradi Wa Ijtimayee Ibadato Ka Ahtimam Kiya Jata Hain, Atish baziya Ki Jati Hain, Masjido Main Chiragha Kiya Jata Hain, Bewa Aurte Ye Samajhti Hain Ke Unke Shoharo Ki Roohe Is Raat Aati Hain Isliye Behtreen Qism Ke Pakwan Tayyar Karke Unka INtezar Karti hain, Aisa Biddat ke Amale hamare Mashre Main Paya jata hain, Aur wo Log Shaban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Main Jo Bhi Hadis Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Riwayat Hain,Isi Tarhan Is Raat Ki Ibadato ke silsile Main Jo Bhi hadis bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo zaeef Hain. 

Shab-e-Barat Ki Fazilat Me Quran Ki Yeh Ayat Paish Ki Jati Hain. 

☝Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat mein utara hai be-shak hum daraney walay hain. 

📖Quran Surah dukhaan Surah nu(44)Ayat nu(3)

In Ka Yeh Qoul Sarasar Ghalat Wa Bebuniyad Hai Jiski Daleel Yeh Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Is Ayat Me Jis Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hain Woh Ramadan Ki Shab-e-Qadr Hain Na Ke Shab-e-Barat, Kyon ki Yeh Baat Har Musalman Janta Hain Ke Quran-e-Kareem Ka Nazeel Ramadan Me Hua Hain, Na Ke Shaban Ke Mahine Me, Irshad-e-Rabbani Hain. 

☝”Ramadan To Woh Mahina Hai Jisme Quran Majeed Nazil Kiya Gaya” 

📖Quran,Surah Al-Baqra Surah nu(2)Ayat nu(185) 

 Doosri Jagah Rabbul Izzat Irshad Farmata Hain

☝Humne Is (Quran Kareem) Ko Shab-e-Qadr Me Nazil Farmaya Tumhe Kya Malum Ke Shab-e-Qadr Kya Hain, Shab-e-Qadr Me Ek Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Se Behtar Hain” 

📖Quran,Surah Al-Qadr Surah nu(97)Ayat nu(1-3) 

 💜Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu srif Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karne wale ke aur keena rakhney wale ke. 

📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat) 

Ye hadis sahi bhi manliya jaye Lekin Is Hadis main Is Raat Ke Liye Maksoos khas Ibadat Karne Ki Na Koee Daleel Hain Aur Na hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hain. Aur Jahan Tak Logo Ki Maghfirat Ki Baat Hai Tu Yeh Sirf isi Raat Ke Sath Khas Nahi Hain Balke Yeh To Har Din Hota Hain, Jaisa Ke Sahi Hadis Se Sabit Hain Ke, 

“Allah subhanahu talah Har Din Akhri Raat Ke Pehar main Sama Dunia Per Aata Hain Aur Yeh Ailan Karta Hain Ke Kon Hain Jo Mujhe Pukare Phir Main Uski Dua Ko Qabool Karon,Kaun Hain Jo Mujhse Sawal kare Aur Main Use Du Kaun Hain Jo Mujh Se Maghfirat Talab Kare Aur Phir Main uski Maghfirat Kardon “ 

Isse Malum Hua Ke Gunaho Ki Maghfirat Ka Kaam hamesha Hota Rehta Hain Yeh Sirf Shab-e-Barat Ke Sath Khas Nahi. 

Haqeeqat yeh Hain Ke Shab-E-Barat Ka Islam Se Koee Taulluq Nahin Hain Ise Ijad Karne Wale Raafdi Hain. 

Ab Koee Yeh Kahe Ke Hum Is Raat Ibadat Hi To karte Hain To Isme Burayee Kya Hain,Burayee Ibadat Main Har Giz nahin Hai Burayee Hain is Baat Main Ke Jo Baat Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Nahi Batayee Woh Hum Kaise Kar SakTe Hain. Ek Insan Agar Asr Ke 4 Farzo Ki jagah 5 Parhne Lage To Kya Woh Sahi Hoga”Hargiz Nahin Jabke Woh Ek Rakat Namaz Hi ZYada parh Raha Hain Per Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne 4 Bataye Hain To Hum Usse Zyada Ya kam Nahin Kar Sakte. Isi Tarhan Ibadat Allah subhanahu talah ke Yahan Woh Qabool Hogi Jiske Karne Ka Hukum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Diya Hain. Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat Kisi Bhi Sahi Ahdis Se Sabit Nahi. Zara Sochiye Ke Agar Yeh Itni Fazilat Wali Raat Hoti To KYa (Sahaba ikram) Is Raat Ko Ibadat Nahi Karte, Koee Ek Bhi Wakhiya (Sahaba ikram) se Sabit Nahi Ke Un Logo Ne Is Raat Ko Khas Ibadat Nahi ki hain, Jo Khas Ibadat Ki Raat Hain Woh To Ramadan Ki (Shab-e-Qadr) Hain Usme Jitni Chahe Ibadat Karein. Ek Baat Yaad Rakhein Ke Allah subhanahu talah Us Ibadat Ko Qabool Karta Hain Jisme Niyat Khalis Allah Ki Raza Ki Ho Aur Tareeqa Khalis Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ho. Akhri Baat Jo Shab-e-Barat Manate hain,wo Logo Yaad Rakho’ JO Amal Aap karte ho Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hain ke wo Mardood hain.” 

💚Ayesha Radi-Allahu-Anha. Riwayat karti hain ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara Amal Nahi hain to wo mardud hain. 

📖Sahi bukhari, hadis nu(2697) 

(Sahi muslim) 

📗Hindi.👇 

💚अबू मूसा अल-असरी रदि अल्लाहू अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुभानहू सिर्फ सबान की रात (15 सबान) को तमाम मखलूक की बख्शीश फरमा देता है सिवाय सिरक करने वाले के और किना रखने वाले के। 

📖सूनून इब्ने माजा हदीस नम्बर(1390) जइफ रिवायत )

📗Urdu.👇

 آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ نصف شعبان کی رات ( اپنے بندوں پر ) نظر فرماتا ہے، پھر مشرک اور ( مسلمان بھائی سے ) دشمنی رکھنے والے کے سوا ساری مخلوق کی مغفرت فرما دیتا ہے ۔ 

📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat) 

📗English.👇  

It was narrated from Abu Musa Al-Ash’ari that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Allah looks down on the night of the middle of Sha’ban and forgives all His creation, apart from the idolater and the Mushahin.” Anoth 

📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat) 

📗Arabic.👇 

 حَدَّثَنَا رَاشِدُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ رَاشِدٍ الرَّمْلِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ لَهِيعَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ أَيْمَنَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَرْزَبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي مُوسَى الْأَشْعَرِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ إِنَّ اللَّهَ لَيَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، ‏‏‏‏‏‏فَيَغْفِرُ لِجَمِيعِ خَلْقِهِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ . 

📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat)

Pahad Aur Darakht Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam Ko Salam Kahte They

Bismillahirrahmanirraheem
Pahad Aur Darakht Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam Ko Salam Kahte They
💙Ali Ibn Talib Radi Allahu anhu farmate hain ki Main Makka mein Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke saath tha , hum kisi bhi janib se nikalte aur Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ke samne koi pahad ya darakht aata to wo kahta As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Eh Allah ke Rasool aap par salamati ho)
📖Al-Silsila As-Sahiha Hadis nu (3544)
📗Hindi.👇
💙अली इब्न तालिब रदी अल्लाहू अन्हु फरमाते हैं की मैं मक्का में रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ था , हम किसी भी जानिब से निकलते और आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के सामने कोई पहाड़ या दरख़्त आता तो वो कहता अस सलामू अलयका या रसूलअल्लाह (एह अल्लाह के रसूल आप पर सलामती हो)
अल-सिलसिला स-सहिहा हदीस नम्बर (3544)
📗Urdu.👇
علی بن ابی طالب رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں کی ،میں مکہ میں رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھا ۔ہم کسی بھی جانب سے نکلتے اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے کوئی پہاڑ یا درخت آتا تو وہ کہتا السلام عليك يا رسول الله یعنی اے اللہ کے رسول آپ پر سلامتی ہو۔
📖Al-Silsila As-Sahiha Hadis nu (3544)
📗English.👇
Narrated by Ali ibn talib Radi Allahu Anhu I was with the Nabee SallAllahu Alaihi Wasallam in the makka and whenever we used to pass by any mountain or tree they used to send salam on Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam by saying As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Peace and Mercy be upon you Oh Messenger of the Allah)
📖Al-Silsila As-Sahiha Hadis nu (3544)
📗Arbic.👇
عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ قَالَ: كُنْتُ مَعَ النَّبِيِّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌بِمَكَّةَ فَخَرَجْنَا فِي بَعْضِ نَوَاحِيهَا فَمَا اسْتَقْبَلَهُ جَبَلٌ وَّلَا شَجَرٌ إِلَّا وَهُوَ يَقُولُ: السَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللهِ
📖Al-Silsila As-Sahiha Hadis nu (3544)

Teen Qism ke log Aise Hai

Bismillahirrahmanirraheem
Teen Qism ke log Aise Hai
💜Rasool Allah ﷺ ne farmaya: teen qism ke log aise hain ke jin ka qayamat main khud muddai ( khilaaf ) banuga.
1⃣Ek to woh shakhs jis ne mere naam pe ehad kiya, aur phir wada khilafi ki.
2⃣Dusra woh jis ne kisi azaad aadmi ko bech kar uski qeemat khayi aur
3⃣Teesra woh shakhs jis ne kisi ko mazdoor kiya, phir kaam to us se poora liya, lekin uski mazdoori naa di.
📖Sahi Bukhari hadis Nu(2270)
📗Hindi.👇
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: तीन किस्म के लोग ऐसे हैं कि जिनका क़यामत में मैं ख़ुद मुद्दई ( खिलाफ ) बनूँगा:
1⃣एक तो वो शख़्स जिसने मेरे नाम पे अह्द किया, और फिर वादा ख़िलाफ़ी की।
2⃣दूसरा वो जिसने किसी आज़ाद आदमी को बेच कर उस की क़ीमत खाई और
3⃣तीसरा वो शख़्स जिसने किसी को मज़दूर किया, फिर काम तो उस से पूरा लिया, लेकिन उसकी मज़दूरी ना दी।
📖सही बुखारी हदीस नम्बर(2270)
📗Urdu.👇
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تین قسم کے لوگ ایسے ہیں کہ جن کا قیامت میں میں خود مدعی بنوں گا۔
1⃣ ایک تو وہ شخص جس نے میرے نام پہ عہد کیا، اور پھر وعدہ خلافی کی۔
2⃣ دوسرا وہ جس نے کسی آزاد آدمی کو بیچ کر اس کی قیمت کھائی اور
3⃣ تیسرا وہ شخص جس نے کسی کو مزدور کیا، پھر کام تو اس سے پورا لیا، لیکن اس کی مزدوری نہ دی۔
📖Sahi Bukhari hadis Nu(2270)
📗English.👇
Narrated Abu Huraira: The Prophet said, Allah said, ‘I will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection: -1. One who makes a covenant in My Name, but proves treacherous; -2. One who sells a free person and eats his price; and -3. One who employs a laborer and takes full work from him but does not pay him for his lab our.’
📖Sahi Bukhari hadis Nu(2270)
📗Arbic.👇
حَدَّثَنَا يُوسُفُ بْنُ مُحَمَّدٍ ، قَالَ : حَدَّثَنِي يَحْيَى بْنُ سُلَيْمٍ ، عَنْ إِسْمَاعِيلَ بْنِ أُمَيَّةَ ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : قَالَ اللَّهُ تَعَالَى : ثَلَاثَةٌ أَنَا خَصْمُهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ : رَجُلٌ أَعْطَى بِي ثُمَّ غَدَرَ ، وَرَجُلٌ بَاعَ حُرًّا فَأَكَلَ ثَمَنَهُ ، وَرَجُلٌ اسْتَأْجَرَ أَجِيرًا فَاسْتَوْفَى مِنْهُ وَلَمْ يُعْطِهِ أَجْرَهُ .
📖Sahi Bukhari hadis Nu(2270)

jis ne kisi kaum ki moshahbat ikhtiyar ki to wah inhi me se hai

Bismillahirrahmanirraheem
jis ne kisi kaum ki moshahbat ikhtiyar ki to wah inhi me se hai
💛Nabi sallallaahu Alaihis wasallam ne farmaya jis ne kisi kaum ki moshahbat ikhtiyar ki to wah inhi me se hai.
📖Abu Dawood hadis nu(4031)
🌷नबी सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया जिसने किसी कौम की मोशाहबत इख्तियार कि तो वह इन्हीं में से है।
📖हदिस अबू दावूद हदीस नम्बर(4031)
📗Urdu.👇
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے کسی قوم کی مشابہت اختیار کی تو وہ انہیں میں سے ہے ۔
📖Abu Dawood hadis nu(4031)
📗English.👇
Narrated Abdullah ibn Umar: The Prophet صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم said: He who copies any people is one of them.
📖Abu Dawood hadis nu(4031)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا أَبُو النَّضْرِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ ثَابِتٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا حَسَّانُ بْنُ عَطِيَّةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي مُنِيبٍ الْجُرَشِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ ابْنِ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ .
📖Abu Dawood hadis nu(4031)

Logon mein sab se behtar shakhs kaun hai,

Bismillahirrahmanirraheem
💜Logon mein sab se behtar shakhs kaun hai,
💛Ek shakhs ne arz kiya: Allah ke rasool ﷺ! logon mein sab se behtar shakhs kaun hai,aap ﷺ ne farmaya: ”jis ki Umar lambi ho aur amal nek ho“, us aadmi ne phir poocha ke logon mein sab se badtar shakhs kaun hai? aap ﷺ ne farmay: ”jis ki Umar lambi ho aur amal bura ho“.
📖Jamì at-Tirmidhi hadis nu(2330)

📗Hindi.👇
💙एक शख़्स ने अर्ज़ किया, अल्लाह के रसूल ﷺ! लोगों में सबसे बेहतर शख़्स कौन है? आप ﷺ ने फ़रमाया: जिसकी उम्र लंबी हो और अमल नेक हो, उस आदमी ने फिर पूछा की लोगों में सबसे बदतर शख़्स कौन है? आप ﷺ ने फ़रमाया:‌ जिसकी उम्र लंबी हो और अमल बुरा हो।
📖जामे अत तिरमिजी हदीस नम्बर(2330)

📗Urdu.👇

ایک شخص نے عرض کیا: اللہ کے رسول! لوگوں میں سب سے بہتر شخص کون ہے؟ آپ نے فرمایا: ”جس کی عمر لمبی ہو اور عمل نیک ہو“، اس آدمی نے پھر پوچھا کہ لوگوں میں سب سے بدتر شخص کون ہے؟ آپ نے فرمایا: ”جس کی عمر لمبی ہو اور عمل برا ہو“ ۱؎۔
امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن صحیح ہے۔
📖Jamì at-Tirmidhi hadis nu(2330)

📗English.👇
Abdur-Rahman bin Abi-Bakrah narrated from his father that a man said:
O Messenger of Allah! Which of the people is the best? He said: He whose life is long and his deeds are good. He said: Then which of the people is the worst? He said: He whose life is long and his deeds are bad.
📖Jamì at-Tirmidhi hadis nu(2330)

📗Arbic.👇
حَدَّثَنَا أَبُو حَفْصٍ عَمْرُو بْنُ عَلِيٍّ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ الْحَارِثِ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي بَكْرَةَ، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ رَجُلًا، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَيُّ النَّاسِ خَيْرٌ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ مَنْ طَالَ عُمُرُهُ وَحَسُنَ عَمَلُهُ قَالَ:‏‏‏‏ فَأَيُّ النَّاسِ شَرٌّ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ مَنْ طَالَ عُمُرُهُ وَسَاءَ عَمَلُهُ ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.
📖Jamì at-Tirmidhi hadis nu(2330)

📜 wazahat: ek karobari ki nigah mein uska kharch kiya hua maal (investment) ki jo hesiyat hai wahi hesiyat aur moqam waqt ka hai, karobari apne kharch kiye hue maal ke badle mein jo munafa pata hai usse hamesha badhane ka khwahishmand hota hai, isi tarah lambi muddat paane wale ko chahiye ke uska waqt zeyada se zeyada neki ke kamo mein guzre, agar usne apne zindagi ke sarmaya ko isi tarah baki rakha toh jis tarah karobari apne kharch kiye hue maal se nafa kamata hai, usi tarah ye bhi fayda hasil karta rahega, yaani uski nekiya (achhe amaal) badhte rahenge, jo akhirat mein uske kamyab hone ka sabab aur jannat mein Ala moqam paane ka zariya sabit hoga. insh’a Allah
📖Jamì at-Tirmidhi hadis nu(2330)

Bewaon aur Miskeeno

Bismillahirrahmanirraheem
Bewaon aur Miskeeno
💜Nabi kareem ﷺ ne farmaya: bewaon aur miskeeno ke kaam anay wala Allah ke rastay mein jihaad karne walay ke barabar hai, ya raat bhar ibadat aur din ko rozay rakhne walay ke barabar hai.
📖Sahih Bukhari hadis hadis nu(5353)
📗Hindi.👇
💛नबी करीम ﷺ  ने फ़रमाया: बेवाओं और मिस्कीनों के काम आने वाला अल्लाह के रास्ते में जिहाद करने वाले के बराबर है, या रात भर इबादत और दिन को रोज़े रखने वाले के बराबर है।
📖सहि बुखारी हदीस नम्बर(5353)
📗Urdu.👇
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: بیواؤں اور مسکینوں کے کام آنے والا اللہ کے راستے میں جہاد کرنے والے کے برابر ہے، یا رات بھر عبادت اور دن کو روزے رکھنے والے کے برابر ہے ۔
📖Sahih Bukhari hadis hadis nu(5353)
📗English.👇
The Prophet ﷺ said: “The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah’s Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day.”
📖Sahih Bukhari hadis hadis nu(5353)
📗Arbic.👇
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ قَزَعَةَ ، حَدَّثَنَا مَالِكٌ ، عَنْ ثَوْرِ بْنِ زَيْدٍ ، عَنْ أَبِي الْغَيْثِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : السَّاعِي عَلَى الْأَرْمَلَةِ وَالْمِسْكِينِ كَالْمُجَاهِدِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ، أَوِ الْقَائِمِ اللَّيْلَ الصَّائِمِ النَّهَارَ .
📖Sahih Bukhari hadis hadis nu(5353)

Jis cheez mein tumhara koi maqsad na ho usko chorh do

Bismillahirrahmanirraheem
Jis cheez mein tumhara koi maqsad na ho usko chorh do
💙Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bande ke husn-e-Islam mein se ye bhi hai ki jis cheez mein uska koi maqsad na ho wo uske bare mein kam batein kare ya usko chorh de
📖Masnad Ahmed- hadis nu(102)Sahih

📗Hindi.👇
रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बन्दे के हुस्न-ए-इस्लाम में से ये भी है की जिस चीज़ में उसका कोई मक़सद नहीं वो उसके बारे में कम बातें करे या उसको छोड़ दे
📖मसनद अहमद- हदीस नम्बर(102)सही

📗Urdu.👇
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا بندے کے حسنِ اسلام میں سے یہ ہے کہ جس چیز میں اس کا کوئی مقصد نہ ہووہ اس کے بارے میں باتیں کم کرے یا اس کو چھوڑ دے
📖Masnad Ahmed- hadis nu(102)Sahih

📗English.👇
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Surely of the excellence of a person’s Islam is that He should not talks about something what does not concern him or he should leave it
📖Masnad Ahmed- hadis nu(102)Sahih

📗Arbic.👇
۔ (۱۰۲)۔عَنِ الْحُسَیْنِ بْنِ عَلِیٍّ ؓ قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم : ((مِنْ حُسْنِ إِسْلَامِ الْمَرْئِ قِلَّۃُ الْکَلَامِ فِیْمَا لَا یَعْنِیْہِ، (وَفِی رِوَایَۃٍ) تَرْکُہُ مَا لَا یَعْنِیْہِ۔)) (مسند أحمد: ۱۷۳۷)
📖Masnad Ahmed- hadis nu(102)Sahih

Jannat ka raasta bhatak gaya

Bismillahirrahmanirraheem
Jannat ka raasta bhatak gaya
💛Rasool-Allah ﷺ ne farmaya agar kisi shaksh ke samne mera zikr kiya jaye aur wo mujh par durud padhna bhul jaye to wo jannat ka raasta bhatak gaya
📖Al-Silsila-tus-Sahiha Hadis nu(2953)

●Allahumma Salli Ala Muhammed
● Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par

📗Hindi.👇
रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अगर किसी शख्स के सामने मेरा जिक्र किया जाए और वह मुझ पर दरूद पटना भूल जाए तो वह जन्नत का रास्ता भटक गया।
📖अल सिलसिला-सहिया हदीस नंबर(2953)
📗Urdu.👇
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہےکہ: جس شخص کے پاس میرا (یعنی نبی ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کا) ذکر کیا گیا اور وہ مجھ پر درود پڑھنا بھول گیا اُس سے جنت کا راستہ بھٹک گیا
📖Al-Silsila-tus-Sahiha Hadis nu(2953)
📗English.👇
It was narrated on the authority of Abu Hurayrah (may Allaah be pleased with him) that:
📖Al-Silsila-tus-Sahiha Hadis nu(2953)
📗Arbic.👇
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ مَرفُوعاً: مَنْ ذُكِرْتُ عِنْدَهُ فَنَسِيَ الصَّلاةَ عَلَيَّ ، خَطِئَ بِه طَرِيقُ الْجَنَّةِ.
📖Al-Silsila-tus-Sahiha Hadis nu(2953)

Jitni badi museebath hoti hai utna hi bada sawab hota hai,

Bismillahirrahmanirraheem
Jitni badi museebath hoti hai utna hi bada sawab hota hai,
💚Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jitni badi museebat hoti hai utna hi bada sawab hota hai, aur beshak Allah Subhanahu jab kisi qaum se muhabbat karta hai toh usey aazmaata hai, phir jo koi us se raazi aur khush rahe toh woh us se raazi rahta hai, aur jo koi us se khafa ho toh woh bhi us se khafa jo jata hai
📖Sunan Ibn maja, hadis(4031)
📗Hindi.👇
💙रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जितनी बड़ी मुसीबत होती है उतना ही बड़ा सवाब होता है, और बेशक अल्लाह सुबहानहु जब किसी क़ौम से मुहब्बत करता है तो उसे आज़माता है, फिर जो कोई उस से राज़ी और खुश रहे तो वो उस से राज़ी रहता है, और जो कोई उस से खफा हो तो वो भी उस से खफा जो जाता है ।
📖सुनन इब्न माजा हदीस नम्बर(4031)सही
📗Urdu.👇
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جتنی بڑی مصیبت ہوتی ہے اتنا ہی بڑا ثواب ہوتا ہے، اور بیشک اللہ تعالیٰ جب کسی قوم سے محبت کرتا ہے تو اسے آزماتا ہے، پھر جو کوئی اس آزمائش سے راضی و خوش رہے تو وہ اس سے راضی رہتا ہے، اور جو کوئی اس سے خفا ہو تو وہ بھی اس سے خفا ہو جاتا ہے
📖Sunan Ibn maja, hadis(4031)
📗English.👇
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallamsaid The greatest reward comes with the greatest trial. When Allah loves a people He tests them. Whoever accepts that gets his pleasure but whoever is discontent with that, earns His wrath
📖Sunan Ibn maja, hadis(4031)
📗Arbic.👇
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ رُمْحٍ،‏‏‏‏ أَنْبَأَنَا اللَّيْثُ بْنُ سَعْدٍ،‏‏‏‏ عَنْ يَزِيدَ بْنِ أَبِي حَبِيبٍ،‏‏‏‏ عَنْ سَعْدِ بْنِ سِنَانٍ،‏‏‏‏ عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ،‏‏‏‏ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،‏‏‏‏ أَنَّهُ قَالَ:‏‏‏‏ عِظَمُ الْجَزَاءِ مَعَ عِظَمِ الْبَلَاءِ،‏‏‏‏ وَإِنَّ اللَّهَ إِذَا أَحَبَّ قَوْمًا ابْتَلَاهُمْ،‏‏‏‏ فَمَنْ رَضِيَ فَلَهُ الرِّضَا،‏‏‏‏ وَمَنْ سَخِطَ فَلَهُ السُّخْطُ .
📖Sunan Ibn maja, hadis(4031)