Day: June 16, 2017

💰🌙⭐ZAKAT SONA, CHANDI KA.MASLAH.💰👇 👉Sone chandi me zakaat farz hai, ba’sharte ke inki miqdaar muqarrar nisaab ke baraar ya usse zyada hon, aur uski milkiyat par ek saal guzar chuka ho, yaad rahe sone ka nisaab 85 gms, jabke chandi ka nisaab 595 gms. hai, agar sona 85 gms se aur chandi 595 gms se kam ho toh zakaat farz nahi hogi, aur agar ye donon apne muqarrar wazan(weight) ke baraabar ya usse zyadah to hon lekin un par saal na guzra ho toh bhi zakaat farz nahi hogi, mazkoorah dono sharten agar maujood hon toh sone chandi ki zakaat Nikaalne ka tareeqa ye hai ke ” sabse pahle unka wazan dekh liya jaaye, phir market ke maujoodah rate(price) ke mutabik us wazan ki qeemat malum kar len, phir uska 2.5% ya 40wa hissa zakaat ki nisbat se ada karen” 📚MASLA-1 Kisi shakhs ke paas saal ke shuru me sone/chandi ka poora nisaab maujood tha, lekin saal poora hone se pahle pahle wah usme se kuch miqdaar ko bech(sale) kar kharch kar leta hai, aur yun unka wazan nisaab se kam ho jaata hai toh uspar zakaat farz nahi hogi, aur agar in saal me sona chandi khareedne ki wajah se unka wazan nisaab se zyaadah ho jaata hai to zakaat ki adaayegi ke waqt baad me khareede gaye sona/chandi ka wazan bhi shamil karna hoga…. 📚MASLA-2 Sona/chandi chaahe dhele (biscuits, coins) ki shakl me ho ya zeweraat(jewellary) ki shakal me, donon soorat me zakaat farz hogi, 📗hadis me aata hai. 💚 ek aurat, rasoollullah sallalaho alaihi wasallam ke paas aayi, Uski beti ke haath me do kangan they, Aap sallalaho alaihi wasallam ne poocha” kiya tumne unki zakaat deti ho ? Usne kaha nahi, to Aap sallalaho alaihi wasallam ne farmaya” kiya tumhe ye baat pasand hai ke qayamat ke din allah taala tumhen un dono(kangan) ke badle aag ke kangan pahnaaye ” To usne kangan ko zameen par phek diya aur kaha-” ye dono allah aur uske rasool ke liye hain “ 📖Abu dawood , hadis nu(1563)sahi 📗Hindi.👇 💚ऐक औरत रसूल अल्लाह सल अल्लाहू अलैहि वसल्लम “के पास आई उसकी बेटी के साथ हाथ में दो कंगन थे आप सल अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने पूछा क्या तुमने उनकी जकात देती हो उसने कहा कि नहीं आप सल अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया क्या तुम्हें ये बात पसंद है की कयामत के दिन अल्लाह ताला तुम्हें उन दोनों कंगन के बदले आग के कंगन पहनाएंगे तो उसने कंगन को जमीन पर फेंक दिया और कहां यह दोनों अल्लाह और उसके रसूल अल्लाह सल अल्लाहू अलैहि वसल्लम के लिए हैं। 📖अबू दाऊद हदीस नम्बर(1563) 📗Urdu.👇 ایک عورت رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوئی، اس کے ساتھ اس کی ایک بچی تھی، اس بچی کے ہاتھ میں سونے کے دو موٹے موٹے کنگن تھے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے پوچھا: کیا تم ان کی زکاۃ دیتی ہو؟ اس نے کہا: نہیں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا تمہیں یہ اچھا لگے گا کہ قیامت کے روز اللہ تعالیٰ تمہیں آگ کے دو کنگن ان کے بدلے میں پہنائے ۔ عبداللہ بن عمرو بن العاص رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ اس عورت نے دونوں کنگن اتار کر انہیں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے ڈال دئیے اور بولی: یہ اللہ اور اس کے رسول کے لیے ہیں۔ 📖Abu dawood , hadis nu(1563)sahi 📗English.👇 Amr bin Shuaib on his father’s authority said that his grandfather reported: A woman came to the Messenger of Allah صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم and she was accompanied by her daughter who wore two heavy gold bangles in her hands. He said to her: Do you pay zakat on them? She said: No. He then said: Are you pleased that Allah may put two bangles of fire on your hands? Thereupon she took them off and placed them before the Prophet صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم saying: They are for Allah and His Messenger. 📖Abu dawood , hadis nu(1563)sahi 📗Arabic.👇 حَدَّثَنَا أَبُو كَامِلٍ، ‏‏‏‏‏‏وَحُمَيْدُ بْنُ مَسْعَدَةَ، ‏‏‏‏‏‏الْمَعْنَى أَنَّ خَالِدَ بْنَ الْحَارِثِ حَدَّثَهُمْ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا حُسَيْنٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ جَدِّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ امْرَأَةً أَتَتْ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَمَعَهَا ابْنَةٌ لَهَا وَفِي يَدِ ابْنَتِهَا مَسَكَتَانِ غَلِيظَتَانِ مِنْ ذَهَبٍ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ لَهَا:‏‏‏‏ أَتُعْطِينَ زَكَاةَ هَذَا ؟ قَالَتْ:‏‏‏‏ لَا، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَيَسُرُّكِ أَنْ يُسَوِّرَكِ اللَّهُ بِهِمَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ سِوَارَيْنِ مِنْ نَارٍ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ فَخَلَعَتْهُمَا، ‏‏‏‏‏‏فَأَلْقَتْهُمَا إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏وَقَالَتْ:‏‏‏‏ هُمَا لِلَّهِ عَزَّ وَجَلَّ وَلِرَسُولِهِ. 📖Abu dawood , hadis nu(1563)sahi 📚MASLA-3 paper currency chaahe, riyaal ho ya dinaar, ruppee ho ya dollar……. Wah bhi sone chandi ke huqm me aati hai, lihaaza jis shakhs ke paas sone/chandi ke nisaab ke qeemat ke baraabar ya usse zyada currency maujood ho aur us par saal ghuzar chuka ho to usme ZAKAAT farz hogi… Aur uski adaayegi ka tareeqa ye hoga ke:-” saal ke aakhir me jab zakaat ada karni ho to us waqt dekh liya jaaye ke 85gm sone ki qeemat kitni hai, phir jitni Currency saal bhar rahe ho wah bhi dekh li jaaye, agar wah 85gm sone ki keemat ke baraabar ya usse zyadah ho to uska 2.5% ya 40wa hissa ba’taur zakaat ada karen….

TextOnPhoto_2017-06-16 10-31-02